Ingredients :
Chicken 1.25 kg
Chawal 1kg
Adrak Lehsan (pisa hoa) 2 khanay k chamach
Namak Hasb e Zaiqa
Piyaz (bareek kati hoi) 3adad darmiyani
Timatar (bareek katay hoye) 6 adad darmiyany
Dahi (phainta hoa) 1 piyali
Safaid Zeera 1 chaye ka chamcha
Haldi (pisi hoi) 1 chaye ka chamcha
Laal mirch (pisi hoi) 2 khanay k chamchay
Dhaniya (pisa hoa) 1 khanay ka chamach
Garm Masala (pisa hoa) 1 khanay ka chamcha
Hari Mirchain (bareek kati hoi) 6-8 adad
Hara Dhaniya (bareek kata hoa) Adhi Gathi
Podeena (bareek kata hoa) adhi gathi
Sabit Garam Masala 2 khanay k chamch
Zarday ka rung 1 chutki
Dood 1 piyali
Kaiwra Essnes Chand qatry
Cooking Oil 1 piyali
Method :
Degchi mian cooking oil ko darmiyani aanch per teen sy panch minute garam kar k Sabit garam masala daal dain. Jab karkaranay lagy to piyaz daal kar sunehra fry kar lain.
Adrak lehsan, haldi aur zeera daal kar do sy teen minute tk chammach chalaain aur phir timatr shamil kar k itni dair pakain k timatr gal jaain.
Jab timatar achi tarha gal jaain aur ek paste ki shakal main ajaaian to chicken , namak, laal mirch , pisa hoa dhaniya, pisa hoa garam masla, hari mirchain, hara dhaniya aur podena daal dain, phr daahi daal kar achi tarha milaain aur darmiyani anch per baraa sy pandra minute tak pakain.
Chawalon ko thoray sy sabit gram masalay k sath ek kanni (mukamal ubalny sy teen chaar minute pehly) ubal kar chhalni sy paani chhaan lain.
Baray size ki degchi main chicken ko phela kar rakhain aur is k ooper chawalon ki teh laga dain.
Doodh main zarday ka rung aur kewrah essences mila kar chawalon per chhirak dain.
Degchi ko dhak kar pandra sy minute k lyye garam taway per rakh kar halki anch pr (dum per) pakain.
Thanks for providing the details, its really a good information
ReplyDeleteHyderabadi Chicken Biryani Recipe